Dard ko had se barhne bhi nhi deta tha
Zindagi chen kar marne bhi nhi deta tha
Sathae aab ki har lahar pe rakhta tha nazar
Zulm ko taah se barhne bhi nhi deta tha
Wada wasal k sahil pe bandhi thi kasthi
Hume kashti se utarne bhi nhi deta tha
Azal o ablag se qayam tha khalaon ka wajood
Zehan ko soch se bharne bhi nhi dea tha
Har taraf harf k ashgar the jungle jungle
Meri awaz ko guzarne bhi nhi deta tha
Ufak-e-sehar pe har sham sajata tha halal
Yun andhero ko bekharne bhi nhi deta tha
Ghar ki har semat ko kahta tha kare ga rushan
Sehan me chand ko utarne bhi nhi deta tha
Asa medan ki hurmat pe musar tha k mujhe
Pao medan me dharne bhi nhi deta tha
Mujhe talkeen-e-dua karta tha har dam aur khud
Mere halat sudharne bhi nhi deta tha
Zikar karta tha meri teshna labi ka aksar
Sehar ki nehar ko bharne bhi nhi deta tha
Rab-e-konen ko bawasta shahi day kar
Khud ko masnd se utarne bhi nhi deta tha
No comments:
Post a Comment